har aadmi ne rup hai dhaara faqir ka
har aadmī ne ruup hai dhārā faqīr kā
gardish meñ aa gayā ye sitārā faqīr kā
duniyā pe dil hamārā kabhī aatā hī nahīñ
hai dosto mizāj hamārā faqīr kā
utran pahan ke shaah kī ḳhush haiñ musāhibīn
ḳhush hai vo ḳhud pahan ke utārā faqīr kā
darvāze par ḳhamosh khaḌā huuñ maiñ der se
kuchh to karo ḳhayāl ḳhudārā faqīr kā
darbār meñ bulāyā thā us ko amiir ne
us ko milā javāb karārā faqīr kā
bas ik jhalak hī pā ke tirī ḳhush bahut hai dil
thoḌe meñ ho rahā hai guzārā faqīr kā
duniyā paḌī huī hai 'kamāl' us meñ dekhiye
kone meñ jo paḌā hai piTārā faqīr kā
har aadmi ne rup hai dhaara faqir ka
gardish mein aa gaya ye sitara faqir ka
duniya pe dil hamara kabhi aata hi nahin
hai dosto mizaj hamara faqir ka
utran pahan ke shah ki KHush hain musahibin
KHush hai wo KHud pahan ke utara faqir ka
darwaze par KHamosh khaDa hun main der se
kuchh to karo KHayal KHudara faqir ka
darbar mein bulaya tha us ko amir ne
us ko mila jawab karara faqir ka
bas ek jhalak hi pa ke teri KHush bahut hai dil
thoDe mein ho raha hai guzara faqir ka
duniya paDi hui hai 'kamal' us mein dekhiye
kone mein jo paDa hai piTara faqir ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.