har aadmi ne tah-e-dil se di dua tujhko
har aadmī ne tah-e-dil se dī duā tujh ko
tamām shahr se phir bhī rahā gila tujh ko
burī lage to lage is meñ kyā ḳhatā merī
jo baat kahnī thī kah dī vo barmalā tujh ko
na jaane kaun sī us meñ thī maslahat pinhāñ
ki sach bhī kahne se aane lagī hayā tujh ko
abhī to zulm ko ik fan samajh rahā hai magar
kabhī to zulm kī degā ḳhudā sazā tujh ko
tū band rahtā hai din raat apne kamre meñ
to raas aa.egī kyā shahr kī fazā tujh ko
tū kor-zauq hai koī payām le na sakā
pukārtī rahī gulshan meñ yuuñ sabā tujh ko
'kamāl' par tū sitam Dhā rahā hai barsoñ se
magar vo aaj bhī kahtā hai bā-vafā tujh ko
har aadmi ne tah-e-dil se di dua tujh ko
tamam shahr se phir bhi raha gila tujh ko
buri lage to lage is mein kya KHata meri
jo baat kahni thi kah di wo barmala tujh ko
na jaane kaun si us mein thi maslahat pinhan
ki sach bhi kahne se aane lagi haya tujh ko
abhi to zulm ko ek fan samajh raha hai magar
kabhi to zulm ki dega KHuda saza tujh ko
tu band rahta hai din raat apne kamre mein
to ras aaegi kya shahr ki faza tujh ko
tu kor-zauq hai koi payam le na saka
pukarti rahi gulshan mein yun saba tujh ko
'kamal' par tu sitam Dha raha hai barson se
magar wo aaj bhi kahta hai ba-wafa tujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.