har aahaT par bahar jhanke mehmanon ke dekhe KHwab
har aahaT par bāhar jhāñke mehmānoñ ke dekhe ḳhvāb
bharī havelī kī laḌkī aur an-jānoñ ke dekhe ḳhvāb
bastī kā har shaḳhs na.e mausam kī zid par baiThā hai
darvāze par diye jalā kar tūfānoñ ke dekhe ḳhvāb
qaus-e-quzah ke rang churā kar chāñd sitāre Duub ga.e
saarā manzar TuuTe phūTe armānoñ ke dekhe ḳhvāb
taaq pe sannāTā baiThā hai dīvāroñ pe uljhan hai
band makāñ meñ kaise koī dālānoñ ke dekhe ḳhvāb
gūñge bahre andhe ghar meñ apne aap se ḳhauf aa.e
raat kī raanī kī ḳhushbū bhī vīrānoñ ke dekhe ḳhvāb
har aahaT par bahar jhanke mehmanon ke dekhe KHwab
bhari haweli ki laDki aur an-jaanon ke dekhe KHwab
basti ka har shaKHs nae mausam ki zid par baiTha hai
darwaze par diye jala kar tufanon ke dekhe KHwab
qaus-e-quzah ke rang chura kar chand sitare Dub gae
sara manzar TuTe phuTe armanon ke dekhe KHwab
taq pe sannaTa baiTha hai diwaron pe uljhan hai
band makan mein kaise koi dalanon ke dekhe KHwab
gunge bahre andhe ghar mein apne aap se KHauf aae
raat ki rani ki KHushbu bhi viranon ke dekhe KHwab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.