har aaine mein badan apna be-libas hua
har aa.ine meñ badan apnā be-libās huā
maiñ apne zaḳhm dikhā kar bahut udaas huā
jo rañg bhar do usī rañg meñ nazar aa.e
ye zindagī na huī kāñch kā gilās huā
maiñ kohsār pe bahtā huā vo jharnā huuñ
jo aaj tak na kisī ke laboñ kī pyaas huā
qarīb ham hī na jab ho sake to kyā hāsil
makān donoñ kā har-chand paas paas huā
kuchh is adā se milā aaj mujh se vo 'shāhid'
ki mujh ko ḳhud pe kisī aur kā qayās huā
har aaine mein badan apna be-libas hua
main apne zaKHm dikha kar bahut udas hua
jo rang bhar do usi rang mein nazar aae
ye zindagi na hui kanch ka gilas hua
main kohsar pe bahta hua wo jharna hun
jo aaj tak na kisi ke labon ki pyas hua
qarib hum hi na jab ho sake to kya hasil
makan donon ka har-chand pas pas hua
kuchh is ada se mila aaj mujh se wo 'shahid'
ki mujh ko KHud pe kisi aur ka qayas hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.