har aan rah-e-shauq mein chalne ki lagan hai
har aan rah-e-shauq meñ chalne kī lagan hai
har gaam vahī silsila-e-dār-o-rasan hai
āhista guzar bād-e-sabā us kī galī se
sunte haiñ ki us shoḳh kā phūloñ sā badan hai
us baaġh ke ḳhāroñ se bharā hai mirā dāman
jis baaġh ke phūloñ meñ bhī ḳhāroñ sī chubhan hai
allāh re har saañs kī ghaTtī huī qīmat
is daur ke insān kā jī lenā bhī fan hai
palkoñ pe haiñ TuuTe hue ḳhvāboñ ke janāze
aur ruuh pe ehsās ke zaḳhmoñ kī jalan hai
ghabrā ke tumhīñ chīḳh paḌo sard chaTāno
is dard ke sahrā meñ to sadiyoñ kī ghuTan hai
zindāñ meñ asīroñ kā ajab haal hai 'shā.ir'
bas vird-e-zabāñ sahn-e-chaman sahn-e-chaman hai
har aan rah-e-shauq mein chalne ki lagan hai
har gam wahi silsila-e-dar-o-rasan hai
aahista guzar baad-e-saba us ki gali se
sunte hain ki us shoKH ka phulon sa badan hai
us bagh ke KHaron se bhara hai mera daman
jis bagh ke phulon mein bhi KHaron si chubhan hai
allah re har sans ki ghaTti hui qimat
is daur ke insan ka ji lena bhi fan hai
palkon pe hain TuTe hue KHwabon ke janaze
aur ruh pe ehsas ke zaKHmon ki jalan hai
ghabra ke tumhin chiKH paDo sard chaTano
is dard ke sahra mein to sadiyon ki ghuTan hai
zindan mein asiron ka ajab haal hai 'shair'
bas wird-e-zaban sahn-e-chaman sahn-e-chaman hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.