har aane jaane wale ka munh dekhta raha
har aane jaane wale ka munh dekhta raha
JaiKrishn Chaudhry Habeeb
MORE BYJaiKrishn Chaudhry Habeeb
har aane jaane vaale kā muñh dekhtā rahā
maiñ rahguzar pe ziist kī tanhā khaḌā rahā
is zindagī ne zaḳhm diye bārhā magar
jaane har ek zaḳhm ko kyoñ chūmtā rahā
chhoḌā hai āñdhiy.oñ ne na baaqī nishān-e-rāh
phir bhī maiñ terā naqsh-e-qadam DhūñDhtā rahā
tanhā nahīñ rahā huuñ maiñ tere firāq meñ
dil par tere hī dard kā pahrā lagā rahā
din ko to silsile the ġham-e-rozgār ke
shab bhar tire ḳhayāl kā tāñtā lagā rahā
yād-e-'habīb' thī ki dhuñdhlakoñ meñ kho ga.ī
dil meñ sivā.e ḳhaak ke baaqī bhī kyā rahā
har aane jaane wale ka munh dekhta raha
main rahguzar pe zist ki tanha khaDa raha
is zindagi ne zaKHm diye barha magar
jaane har ek zaKHm ko kyon chumta raha
chhoDa hai aandhiyon ne na baqi nishan-e-rah
phir bhi main tera naqsh-e-qadam DhunDhta raha
tanha nahin raha hun main tere firaq mein
dil par tere hi dard ka pahra laga raha
din ko to silsile the gham-e-rozgar ke
shab bhar tere KHayal ka tanta laga raha
yaad-e-'habib' thi ki dhundhlakon mein kho gai
dil mein siwae KHak ke baqi bhi kya raha
- Book : نغمۂ زندگی (Pg. 68)
- Author : جے کرشن چودھری حبیب
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.