har aankh teri jhil hai nithre hue jal ki
har aañkh tirī jhiil hai nithre hue jal kī
har jhiil meñ ḳhushbū hai ujāle ke kañval kī
har or dahaktī haiñ tujhe ghūrtī āñkheñ
kyoñ ḳhair manā.ūñ na tire rūp-sajal kī
chāñdī kī Dalī ban ke mirī ruuh meñ jhalkī
muskān tirī nain kaTorī se jo chhalkī
hotā hai tirī chaap kā dhoka jo kahīñ se
paḌtī hai bhanak kaan meñ halkī se bhī halkī
dhuup aaj kī har chand kaḌī hai pe abhī tak
sapnoñ ke ghane peḌ tale chhāñv hai kal kī
rah jaa.eñ na āshāoñ ke ye phuul jhulas kar
hālāt ke jhoñkoñ meñ tapī ret hai thal kī
lagtā hai harī hone ko hai Daal samay kī
koñpal sī to phūTī hai na.ī bhor ke pal kī
har aankh teri jhil hai nithre hue jal ki
har jhil mein KHushbu hai ujale ke kanwal ki
har or dahakti hain tujhe ghurti aankhen
kyon KHair manaun na tere rup-sajal ki
chandi ki Dali ban ke meri ruh mein jhalki
muskan teri nain kaTori se jo chhalki
hota hai teri chap ka dhoka jo kahin se
paDti hai bhanak kan mein halki se bhi halki
dhup aaj ki har chand kaDi hai pe abhi tak
sapnon ke ghane peD tale chhanw hai kal ki
rah jaen na aashaon ke ye phul jhulas kar
haalat ke jhonkon mein tapi ret hai thal ki
lagta hai hari hone ko hai Dal samay ki
konpal si to phuTi hai nai bhor ke pal ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.