har aarzu mein rang hai bagh-o-bahaar ka
har aarzu mein rang hai bagh-o-bahaar ka
Chandar Bhan Kaifi Dehelvi
MORE BYChandar Bhan Kaifi Dehelvi
har aarzū meñ rañg hai bāġh-o-bahār kā
kāñTā bhī ek phuul hai us ḳhār-zār kā
kuchh is tarah se aao ki dil ko ḳhabar na ho
kuchh vasl meñ bhī lutf rahe intizār kā
bū-e-vafā na DhūñDhiye laala ke daaġh meñ
kyā ye bhī koī dil hai kisī dil-figār kā
laġhzish hui to paañv pe saaqī ke gir paḌe
behoshiyoñ se kaam liyā hoshiyār kā
sar-chashma-e-sarāb fareb-e-majāz hai
kyā e'tibār zindagī-e-musta.ār kā
irfāñ kī raushnī se kudūrat chalī ga.ī
ā.īna ban gayā mire musht-e-ġhubār kā
daur-e-shabāb kī vo tarañgeñ kahāñ ga.iiñ
ḳhamyāza dekhtā hai ye 'kaifī' ḳhumār kā
har aarzu mein rang hai bagh-o-bahaar ka
kanTa bhi ek phul hai us KHar-zar ka
kuchh is tarah se aao ki dil ko KHabar na ho
kuchh wasl mein bhi lutf rahe intizar ka
bu-e-wafa na DhunDhiye lala ke dagh mein
kya ye bhi koi dil hai kisi dil-figar ka
laghzish hui to panw pe saqi ke gir paDe
behoshiyon se kaam liya hoshiyar ka
sar-chashma-e-sarab fareb-e-majaz hai
kya e'tibar zindagi-e-mustaar ka
irfan ki raushni se kudurat chali gai
aaina ban gaya mere musht-e-ghubar ka
daur-e-shabab ki wo tarangen kahan gain
KHamyaza dekhta hai ye 'kaifi' KHumar ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.