har adawat pe jahan sulh ki saiqal ho jae
har adāvat pe jahāñ sulh kī saiqal ho jaa.e
dost sachchā bhī nikal aa.e to pāgal ho jaa.e
chaḌhte dariyā se Dare haiñ to hai apnoñ kī talāsh
kaash kuchh der ko ye ḳhauf musalsal ho jaa.e
maat khā khā ke yuuñ hī rote rahe haiñ sadiyoñ
in kā dasta bhī kisī baar harāval ho jaa.e
kyoñ jhuke sar ye kisī ġhair ḳhudā ke aage
kyoñ 'aqīdat meñ koī aql se paidal ho jaa.e
ham bhī ā.eñge tirī nazar-guzārī ko kabhī
haañ zarā ḳhushk tazabzub kī ye daldal ho jaa.e
har adawat pe jahan sulh ki saiqal ho jae
dost sachcha bhi nikal aae to pagal ho jae
chaDhte dariya se Dare hain to hai apnon ki talash
kash kuchh der ko ye KHauf musalsal ho jae
mat kha kha ke yun hi rote rahe hain sadiyon
in ka dasta bhi kisi bar harawal ho jae
kyon jhuke sar ye kisi ghair KHuda ke aage
kyon 'aqidat mein koi aql se paidal ho jae
hum bhi aaenge teri nazar-guzari ko kabhi
han zara KHushk tazabzub ki ye daldal ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.