har aks mera aks ho itna bhi nahin main
har aks mirā aks ho itnā bhī nahīñ maiñ
is ā.ina-ḳhāne meñ kahīñ tū hai kahīñ maiñ
ye mere badan par jo sulagne ke nishāñ haiñ
yuuñ haiñ ki zarā bhar ko huā us ke qarīñ maiñ
ik vaqt meñ kitne hī gumānoñ se guzar kar
likhtā huuñ ye kuchh lafz sar-e-lauh-e-yaqīñ maiñ
ye ālam-e-nābūd hai yā buud hai kyā hai
maiñ kahtā huuñ maiñ huuñ koī kahtā hai nahīñ maiñ
vo dar to banā hai na banegā kabhī 'aḳhtar'
jis ke liye phirtā huuñ liye apnī jabīñ maiñ
har aks mera aks ho itna bhi nahin main
is aaina-KHane mein kahin tu hai kahin main
ye mere badan par jo sulagne ke nishan hain
yun hain ki zara bhar ko hua us ke qarin main
ek waqt mein kitne hi gumanon se guzar kar
likhta hun ye kuchh lafz sar-e-lauh-e-yaqin main
ye aalam-e-nabud hai ya bud hai kya hai
main kahta hun main hun koi kahta hai nahin main
wo dar to bana hai na banega kabhi 'aKHtar'
jis ke liye phirta hun liye apni jabin main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.