har aziyyat se guzare hue log
har aziyyat se guzāre hue log
ham tire hijr ke maare hue log
kitnī jaldī hai utārā dil se
kitnī jaldī tumheñ pyāre hue log
raas aatī nahīñ koī bhī shai
ham tire ishq pe vaare hue log
kaash aa sakte palaT kar phir se
haa.e vo log guzāre hue log
phuul bhī suukh ga.e rastoñ pe
jaane kab aa.eñ pukāre hue log
kyā koī ham ko harāTā 'iqrā'
ham to haiñ ḳhud se hī haare hue log
har aziyyat se guzare hue log
hum tere hijr ke mare hue log
kitni jaldi hai utara dil se
kitni jaldi tumhein pyare hue log
ras aati nahin koi bhi shai
hum tere ishq pe ware hue log
kash aa sakte palaT kar phir se
hae wo log guzare hue log
phul bhi sukh gae raston pe
jaane kab aaen pukare hue log
kya koi hum ko haraTa 'iqra'
hum to hain KHud se hi haare hue log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.