har bar usi shaKHs ko kyon yaad karen hum
har baar usī shaḳhs ko kyoñ yaad kareñ ham
ai dil tujhe yuuñ bārhā nāshād kareñ ham
bechain rahe shām-o-sahar koī parinda
phir kyoñ na qafas se ise āzād kareñ ham
aatā nahīñ hai jab hameñ is haal pe ronā
phir dard nayā kyoñ nahīñ ījād kareñ ham
ham ko na shikāyat koī hai zindagī tum se
kuchh tum ne kiyā kuchh chalo barbād kareñ ham
har bar usi shaKHs ko kyon yaad karen hum
ai dil tujhe yun barha nashad karen hum
bechain rahe sham-o-sahar koi parinda
phir kyon na qafas se ise aazad karen hum
aata nahin hai jab hamein is haal pe rona
phir dard naya kyon nahin ijad karen hum
hum ko na shikayat koi hai zindagi tum se
kuchh tum ne kiya kuchh chalo barbaad karen hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.