har baat par jahan mein uchhaalenge nam log
har baat par jahāñ meñ uchhāleñge naam log
rusvā kareñge aur bigāḌeñge kaam log
bhātā hai koī koī hī dil aur dimāġh ko
milne ko yuuñ to milte haiñ jag meñ tamām log
kar ke dikhāo kaam koī ziist meñ baḌā
chāhat hai gar jahāñ meñ kareñ ehtirām log
sukh-chain bhī nasīb meñ un ke likhā hai yā
dukh-dard bas jahāñ meñ uThā.eñge 'aam log
rahtī hai jis kī sab se shikāyat jahān meñ
karte haiñ ḳhud bhī kaam vahī sub.h-o-shām log
aa.ī samajh meñ baat hameñ ye na aaj tak
kyūñ-kar kisī nashe ke haiñ bante ġhulām log
jag meñ badī kī raah pe chalte haiñ jo bashar
karte haiñ duur se hī unheñ raam raam log
'hīrā' Daroge sab se agar baat baat par
jiinā kareñge aur jahāñ meñ harām log
har baat par jahan mein uchhaalenge nam log
ruswa karenge aur bigaDenge kaam log
bhata hai koi koi hi dil aur dimagh ko
milne ko yun to milte hain jag mein tamam log
kar ke dikhao kaam koi zist mein baDa
chahat hai gar jahan mein karen ehtiram log
sukh-chain bhi nasib mein un ke likha hai ya
dukh-dard bas jahan mein uThaenge 'am log
rahti hai jis ki sab se shikayat jahan mein
karte hain KHud bhi kaam wahi subh-o-sham log
aai samajh mein baat hamein ye na aaj tak
kyun-kar kisi nashe ke hain bante ghulam log
jag mein badi ki rah pe chalte hain jo bashar
karte hain dur se hi unhen ram ram log
'hira' Daroge sab se agar baat baat par
jina karenge aur jahan mein haram log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.