har baat par na yun hamein ghussa karen huzur
har baat par na yuuñ hameñ ġhussa kareñ huzūr
kuchh bad-mizāj log haiñ dekhā kareñ huzūr
ik din havā ke ḳhauf se kahne lagā charāġh
merā yuuñ shā.irī meñ na charchā kareñ huzūr
jitnā junūñ hai jeb meñ bāhar nikāliye
bāzār hai ye ishq kā ḳharcha kareñ huzūr
ab siikh jaa.eñ aap un āñkhoñ kī bhī zabāñ
palkeñ jhukā.ūñ jab bhī to samjhā kareñ huzūr
itnā hasīn phuul aur us par ye barhamī
ham se ḳhatā huī hai to shikva kareñ huzūr
jhagḌā huā hai aaj sitāroñ kā chāñd se
bolā hai kitnī baar na chamkā kareñ huzūr
har baat par na yun hamein ghussa karen huzur
kuchh bad-mizaj log hain dekha karen huzur
ek din hawa ke KHauf se kahne laga charagh
mera yun shairi mein na charcha karen huzur
jitna junun hai jeb mein bahar nikaliye
bazar hai ye ishq ka KHarcha karen huzur
ab sikh jaen aap un aankhon ki bhi zaban
palken jhukaun jab bhi to samjha karen huzur
itna hasin phul aur us par ye barhami
hum se KHata hui hai to shikwa karen huzur
jhagDa hua hai aaj sitaron ka chand se
bola hai kitni bar na chamka karen huzur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.