Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har badalte hue manzar mein raho

Shareef Munawwar

har badalte hue manzar mein raho

Shareef Munawwar

MORE BYShareef Munawwar

    Interesting Fact

    1976

    har badalte hue manzar meñ raho

    na.ī uljhan na.e chakkar meñ raho

    rābta ghar se rahe bāhar

    kisī rauzan tarah ghar meñ raho

    rāt-bhar sair karo duniyā

    rāt-bhar apne bistar meñ raho

    hādso dil meñ basā luuñ tum ko

    sāneho aao mire ghar meñ raho

    har-nafas daftar-e-ehsās likho

    har ghaḌī arsa-e-mahshar meñ raho

    husn saḌkoñ tamāshā Thahrā

    dosto dīda-varo ghar meñ raho

    kyā qayāmat hai ki tum ġhair ke saath

    mere ghar ke barābar meñ raho

    ghar ke hangāmoñ se fursat kar

    baam par aao kabhī dar meñ raho

    har badalte hue manzar mein raho

    nai uljhan nae chakkar mein raho

    rabta ghar se rahe bahar ka

    kisi rauzan ki tarah ghar mein raho

    raat-bhar sair karo duniya ki

    raat-bhar apne hi bistar mein raho

    hadso dil mein basa lun tum ko

    saneho aao mere ghar mein raho

    har-nafas daftar-e-ehsas likho

    har ghaDi arsa-e-mahshar mein raho

    husn saDkon ka tamasha Thahra

    dosto dida-waro ghar mein raho

    kya qayamat hai ki tum ghair ke sath

    mere hi ghar ke barabar mein raho

    ghar ke hangamon se fursat pa kar

    baam par aao kabhi dar mein raho

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now