har bandhan ko mar ke Thokar aai hai
har bandhan ko maar ke Thokar aa.ī hai
terī ḳhushbū mere andar aa.ī hai
le ke jo ḳhvāboñ kā lashkar aa.ī hai
niiñd vo aa.ī hai to dam bhar aa.ī hai
āñkhoñ āñkhoñ manzar manzar aa.ī hai
māyūsī ummīd se baḌh kar aa.ī hai
gulshan gulshan raaz sabā ne khol diyā
ik titlī phir bhes badal kar aa.ī hai
merī har mushkil vo āsāñ kar degī
ek duā jo tere lab par aa.ī hai
shukr hai gūñge bahroñ kī is duniyā meñ
koī to āvāz ubhar kar aa.ī hai
is se ziyāda pyaar bhalā kyā hogā 'zahīn'
us kī aafat bhī mere sar aa.ī hai
har bandhan ko mar ke Thokar aai hai
teri KHushbu mere andar aai hai
le ke jo KHwabon ka lashkar aai hai
nind wo aai hai to dam bhar aai hai
aankhon aankhon manzar manzar aai hai
mayusi ummid se baDh kar aai hai
gulshan gulshan raaz saba ne khol diya
ek titli phir bhes badal kar aai hai
meri har mushkil wo aasan kar degi
ek dua jo tere lab par aai hai
shukr hai gunge bahron ki is duniya mein
koi to aawaz ubhar kar aai hai
is se ziyaada pyar bhala kya hoga 'zahin'
us ki aafat bhi mere sar aai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.