har barhaman bhi did ka mushtaq hai so hai
har barhaman bhi did ka mushtaq hai so hai
Meer Shamsuddeen Faiz
MORE BYMeer Shamsuddeen Faiz
har barhaman bhī diid kā mushtāq hai so hai
us but ko pās-e-ḳhātir-e-ushshāq hai so hai
mastūr sau hijāb meñ us kā hai ruḳh magar
husn-o-jamāl shohra-e-āfāq hai so hai
sau sau tarah ke rañj hameñ hijr meñ haiñ ek
mushtāq-e-vasl ye dil-e-mushtāq hai so hai
pesh-e-nigāh majma.a-e-taqlīd hai to kyā
dil ko ḳhayāl-e-ālam-e-itlāq hai so hai
har barhaman bhi did ka mushtaq hai so hai
us but ko pas-e-KHatir-e-ushshaq hai so hai
mastur sau hijab mein us ka hai ruKH magar
husn-o-jamal shohra-e-afaq hai so hai
sau sau tarah ke ranj hamein hijr mein hain ek
mushtaq-e-wasl ye dil-e-mushtaq hai so hai
pesh-e-nigah majma-e-taqlid hai to kya
dil ko KHayal-e-alam-e-itlaq hai so hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.