har bashar bewafa nahin hota
har bashar bevafā nahīñ hotā
har samar be-mazā nahīñ hotā
rāhzan apnā kaam karte haiñ
jab koī dūsrā nahīñ hotā
aisī buniyād rakh rahe ho kyoñ
jis meñ sab kā bhalā nahīñ hotā
har kisī se mile jo ḳhush ho kar
us pe koī ḳhafā nahīñ hotā
apne kirdār par nazar rakhiye
koī chhoTā-baḌā nahīñ hotā
azm-e-mohkam nahīñ to kuchh bhī nahīñ
aap chāheñ to kyā nahīñ hotā
maut kyā hai bas ek parda hai
aadmī kuchh fanā nahīñ hotā
'rāz' tūfān hai duā kiije
nāḳhudā kuchh ḳhudā nahīñ hotā
har bashar bewafa nahin hota
har samar be-maza nahin hota
rahzan apna kaam karte hain
jab koi dusra nahin hota
aisi buniyaad rakh rahe ho kyon
jis mein sab ka bhala nahin hota
har kisi se mile jo KHush ho kar
us pe koi KHafa nahin hota
apne kirdar par nazar rakhiye
koi chhoTa-baDa nahin hota
azm-e-mohkam nahin to kuchh bhi nahin
aap chahen to kya nahin hota
maut kya hai bas ek parda hai
aadmi kuchh fana nahin hota
'raaz' tufan hai dua kije
naKHuda kuchh KHuda nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.