har bulbul-e-mushtaq tah-e-dam hai ab bhi
har bulbul-e-mushtāq tah-e-dām hai ab bhī
phūloñ kī talab bā.is-e-ālām hai ab bhī
ik umr se go rasm-e-junūñ chhoḌ chukā hai
dīvāna tire shahr meñ badnām hai ab bhī
kahne ko to har samt bahāroñ kā samāñ hai
dil apnā to afsurda sar-e-shām hai ab bhī
muddat se kiye baiThe haiñ go tark-e-mohabbat
haañ bā.is-e-taskīn vahī naam hai ab bhī
kis aañkh se nazzāra kareñ lāla-o-gul kā
taqdīs-e-nazar bā.is-e-ilzām hai ab bhī
kuchh tujh ko ḳhabar hai bhī use bhūlne vaale
'betāb' ke hoñToñ pe tirā naam hai ab bhī
har bulbul-e-mushtaq tah-e-dam hai ab bhi
phulon ki talab bais-e-alam hai ab bhi
ek umr se go rasm-e-junun chhoD chuka hai
diwana tere shahr mein badnam hai ab bhi
kahne ko to har samt bahaaron ka saman hai
dil apna to afsurda sar-e-sham hai ab bhi
muddat se kiye baiThe hain go tark-e-mohabbat
han bais-e-taskin wahi nam hai ab bhi
kis aankh se nazzara karen lala-o-gul ka
taqdis-e-nazar bais-e-ilzam hai ab bhi
kuchh tujh ko KHabar hai bhi use bhulne wale
'betab' ke honTon pe tera nam hai ab bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.