har bure waqt mein kaam aaya tha
har bure vaqt meñ kaam aayā thā
agle vaqtoñ kā vo ham-sāya thā
aa.ine meñ thā vo kis kā chehra
maiñ jise dekh ke sharmāyā thā
gir gayā aaj vo būḌhā bargad
mere āñgan kā jo sarmāya thā
ahl-e-zar se bhī ḳharīdā na gayā
māya-e-nāz vo be-māya thā
har bure waqt mein kaam aaya tha
agle waqton ka wo ham-saya tha
aaine mein tha wo kis ka chehra
main jise dekh ke sharmaya tha
gir gaya aaj wo buDha bargad
mere aangan ka jo sarmaya tha
ahl-e-zar se bhi KHarida na gaya
maya-e-naz wo be-maya tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.