har-chand ki dekhe hai wo pyar ki aankhon se
har-chand ki dekhe hai vo pyaar kī āñkhoñ se
par nikle hai be-rangī us paar kī āñkhoñ se
shiddat se lagā hañsne ahvāl pe gar mere
aañsū bhī kabhī Tapke makkār kī āñkhoñ se
be-tāqatī-e-dil kā kyā sharh-o-bayāñ kījiye
bīmārī numāyāñ hai bīmār kī āñkhoñ se
hai teġh-e-nigah khīñche shamshīr-ba-kaf mizhgāñ
ab jiite nahīñ bachte ḳhūñ-ḳhār kī āñkhoñ se
lākhoñ hī kī āñkhoñ se āñkhoñ tirī behtar haiñ
kyā achchhī haiñ ai pyāse vo chaar kī āñkhoñ se
mat ahl-e-diloñ se kar ham-chashmī ai ā.īne
ġhāfil na milā āñkheñ bedār kī āñkhoñ se
har tarah se dekhā hai vo dekh hī letā hai
tayyārī kare kyā koī 'ayyār kī āñkhoñ se
itnī bhī rasā.ī ho 'joshish' to ġhanīmat hai
ḳhāk-e-kaf-e-pā maliye dil-dār kī āñkhoñ se
har-chand ki dekhe hai wo pyar ki aankhon se
par nikle hai be-rangi us par ki aankhon se
shiddat se laga hansne ahwal pe gar mere
aansu bhi kabhi Tapke makkar ki aankhon se
be-taqati-e-dil ka kya sharh-o-bayan kijiye
bimari numayan hai bimar ki aankhon se
hai tegh-e-nigah khinche shamshir-ba-kaf mizhgan
ab jite nahin bachte KHun-KHar ki aankhon se
lakhon hi ki aankhon se aankhon teri behtar hain
kya achchhi hain ai pyase wo chaar ki aankhon se
mat ahl-e-dilon se kar ham-chashmi ai aaine
ghafil na mila aankhen bedar ki aankhon se
har tarah se dekha hai wo dekh hi leta hai
tayyari kare kya koi 'ayyar ki aankhon se
itni bhi rasai ho 'joshish' to ghanimat hai
KHak-e-kaf-e-pa maliye dil-dar ki aankhon se
- Deewan-e-Joshish(Rekhta Website)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.