har chand ki lae the jigar chir ke moti
har chand ki laa.e the jigar chiir ke motī
arzāñ hī rahe nāla-e-shab-gīr ke motī
ik maañ ne bilakte hue bachchoñ ke liye shab
beche kisī bāzār meñ tauqīr ke motī
har rañg jamāte haiñ yaqīñ-tāb badan kā
in ḳhvāb se hoñToñ pe asātīr ke motī
dahlīz-e-mohabbat se sameTe haiñ hamesha
taare kisī shīrīñ ke kisī hiir ke motī
ḳhāmoshī kahegī ḳhalish-e-jāñ kā fasāna
palkoñ se chune jā.eñge tāsīr ke motī
zulmat-kada-e-fikr meñ tābāñ haiñ azal se
ġhālib ke kahīñ 'mīr'-taqī-'mīr' ke motī
kaafī se ziyāda hai ye tāvān junūñ kā
haiñ kāsa-e-zānū meñ jo zanjīr ke motī
ho jā.eñge mujh aise siyahkār kī ḳhātir
baḳhshish kā vasīla ġham-e-shabbīr ke motī
har chand ki lae the jigar chir ke moti
arzan hi rahe nala-e-shab-gir ke moti
ek man ne bilakte hue bachchon ke liye shab
beche kisi bazar mein tauqir ke moti
har rang jamate hain yaqin-tab badan ka
in KHwab se honTon pe asatir ke moti
dahliz-e-mohabbat se sameTe hain hamesha
tare kisi shirin ke kisi hir ke moti
KHamoshi kahegi KHalish-e-jaan ka fasana
palkon se chune jaenge tasir ke moti
zulmat-kada-e-fikr mein taban hain azal se
ghaalib ke kahin 'mir'-taqi-'mir' ke moti
kafi se ziyaada hai ye tawan junun ka
hain kasa-e-zanu mein jo zanjir ke moti
ho jaenge mujh aise siyahkar ki KHatir
baKHshish ka wasila gham-e-shabbir ke moti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.