har chand ki rote mein asar main nahin rakhta
har chand ki rote mein asar main nahin rakhta
Hassamuddin Haider Nami
MORE BYHassamuddin Haider Nami
har chand ki rote meñ asar maiñ nahīñ rakhtā
kuchh is ke sivā aur hunar maiñ nahīñ rakhtā
us shoḳh ke aane kī ḳhabar mujh se na pūchho
thī be-ḳhabarī mujh ko ḳhabar maiñ nahīñ rakhtā
aage mire riise hai jo is kūche meñ aa kar
ai abr magar dīda-e-tar maiñ nahīñ rakhtā
hai dūri-e-gulshan se qalaq jin ko nihāyat
afsos ki is fasl meñ par maiñ nahīñ rakhtā
har chand ki rote mein asar main nahin rakhta
kuchh is ke siwa aur hunar main nahin rakhta
us shoKH ke aane ki KHabar mujh se na puchho
thi be-KHabari mujh ko KHabar main nahin rakhta
aage mere rise hai jo is kuche mein aa kar
ai abr magar dida-e-tar main nahin rakhta
hai duri-e-gulshan se qalaq jin ko nihayat
afsos ki is fasl mein par main nahin rakhta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.