har chand rahguzar thi dushwar qafiye ki
har chand rahguzar thī dushvār qāfiye kī
sun kar na rah sake ham lalkār qāfiye kī
din kā sukūn ġhārat rātoñ kī niiñd ġhā.eb
sar par laTak rahī hai talvār qāfiye kī
ham is ko bāñdhte kyā jakḌā hai is ne ham ko
ab dekhte haiñ sūrat nā-chār qāfiye kī
is aas par ki shāyad ho jaa.e tañg ham par
karte rahe ḳhushāmad aġhyār qāfiye kī
taaza havā chalī aur ik lahar dil meñ uTThī
roke na ruk sakī phir yalġhār qāfiye kī
paayā surāġh-e-mazmūñ gaahe radīf meñ bhī
lāzim na thī samājat har baar qāfiye kī
dasht-e-ḳhayāl meñ phir kyā kyā khule manāzir
kuchh der ko haTī thī dīvār qāfiye kī
jab sher kā safīna bahr-e-ġhazal meñ Dolā
us vaqt kaam aa.ī patvār qāfiye kī
maġhrib kī ho kahānī yā mashriqī rivāyat
ūñchī rahī hamesha dastār qāfiye kī
kuchh sher kaam ke bhī is meñ nikāle ham ne
vo kahte the zamīñ hai be-kār qāfiye kī
phir aur koī naġhma bhaa.e na us ko 'bāsir'
jo ek baar sun le jhankār qāfiye kī
har chand rahguzar thi dushwar qafiye ki
sun kar na rah sake hum lalkar qafiye ki
din ka sukun ghaarat raaton ki nind ghaeb
sar par laTak rahi hai talwar qafiye ki
hum is ko bandhte kya jakDa hai is ne hum ko
ab dekhte hain surat na-chaar qafiye ki
is aas par ki shayad ho jae tang hum par
karte rahe KHushamad aghyar qafiye ki
taza hawa chali aur ek lahar dil mein uTThi
roke na ruk saki phir yalghaar qafiye ki
paya suragh-e-mazmun gahe radif mein bhi
lazim na thi samajat har bar qafiye ki
dasht-e-KHayal mein phir kya kya khule manazir
kuchh der ko haTi thi diwar qafiye ki
jab sher ka safina bahr-e-ghazal mein Dola
us waqt kaam aai patwar qafiye ki
maghrib ki ho kahani ya mashriqi riwayat
unchi rahi hamesha dastar qafiye ki
kuchh sher kaam ke bhi is mein nikale hum ne
wo kahte the zamin hai be-kar qafiye ki
phir aur koi naghma bhae na us ko 'basir'
jo ek bar sun le jhankar qafiye ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.