har chand sine mein dil-e-kufr-ashna nahin
har chand siine meñ dil-e-kufr-āshnā nahīñ
maiñ us ko pūjtā huuñ jo merā ḳhudā nahīñ
vo merī zindagī hai magar zindagī kī tarah
mujh se ḳhafā nahīñ hai ki vo bevafā nahīñ
kyā kyā na apne saath zamānoñ ko laa.ī hai
vo ik nigāh jis se koī āshnā nahīñ
shāyad maiñ ḳhāk-dāñ ke dhueñ kī lakīr huuñ
vo mujh ko dekhtā hai magar pūchhtā nahīñ
guuñj us kī aaj bhī mire ḳhalvat-kade meñ hai
vo naġhma jis ko tū ne dobāra sunā nahīñ
un rāstoñ kī gard mirī zindagī pe hai
jin rāstoñ pe maiñ kabhī 'aḳhtar' chalā nahīñ
har chand sine mein dil-e-kufr-ashna nahin
main us ko pujta hun jo mera KHuda nahin
wo meri zindagi hai magar zindagi ki tarah
mujh se KHafa nahin hai ki wo bewafa nahin
kya kya na apne sath zamanon ko lai hai
wo ek nigah jis se koi aashna nahin
shayad main KHak-dan ke dhuen ki lakir hun
wo mujh ko dekhta hai magar puchhta nahin
gunj us ki aaj bhi mere KHalwat-kade mein hai
wo naghma jis ko tu ne dobara suna nahin
un raston ki gard meri zindagi pe hai
jin raston pe main kabhi 'aKHtar' chala nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.