har chiz ke sine mein koi bol raha hai
har chiiz ke siine meñ koī bol rahā hai
ḳhāmoshī-e-asrār bhī taqrīr-numā hai
jaulānī-e-afkār hai matlūb-e-gulistāñ
ye mauj-e-sabā bhī kisī ġhunche kī sadā hai
hai tere tabassum meñ nihāñ barq-e-nihāñ-soz
sau baar mire hāthoñ tirā parda uThā hai
gir kar bhī hai dil auj-e-surayyā ke barābar
kyā jāniye ye kaun sī rif.at se girā hai
duniyā ke liye maiñ kabhī uljhā huuñ ḳhudā se
ye dahr kabhī mere hī hāthoñ se jilā hai
maanā ki bahut talḳh the suqrāt ke auqāt
maiñ ne bhī to hālāt kā zahrāb piyā hai
ai mere tasavvur mirī āñkhoñ pe ayaañ ho
maiñ ġhair nahīñ kis liye tū mujh se chhupā hai
is khusravī māhaul meñ dil vāloñ se kah do
yaañ shīrīñ ne farhād kā kab saath diyā hai
ham donoñ mulāqāt ke tālib to haiñ lekin
maiñ paikar-e-ḳhushbū huuñ vo gul-barg-e-hayā hai
dekho to karishma hai Thikānoñ kā badalnā
hai ruḳh pe tumhāre to mire dil meñ ḳhudā hai
zar tere liye hai na ki tū zar ke liye hai
ye zar kī ġhulāmī havas-e-zar kī sazā hai
gardish ne zamāne kī judā kar diyā mujh ko
us khet se jis se ye mirā jism ugā hai
jo ashk ki girtā thā mirī maañ kī lahad par
vo ashk mirī aañkh meñ barsoñ se rukā hai
har chiz ke sine mein koi bol raha hai
KHamoshi-e-asrar bhi taqrir-numa hai
jaulani-e-afkar hai matlub-e-gulistan
ye mauj-e-saba bhi kisi ghunche ki sada hai
hai tere tabassum mein nihan barq-e-nihan-soz
sau bar mere hathon tera parda uTha hai
gir kar bhi hai dil auj-e-surayya ke barabar
kya jaaniye ye kaun si rifat se gira hai
duniya ke liye main kabhi uljha hun KHuda se
ye dahr kabhi mere hi hathon se jila hai
mana ki bahut talKH the suqraat ke auqat
main ne bhi to haalat ka zahrab piya hai
ai mere tasawwur meri aankhon pe ayan ho
main ghair nahin kis liye tu mujh se chhupa hai
is khusrawi mahaul mein dil walon se kah do
yan shirin ne farhad ka kab sath diya hai
hum donon mulaqat ke talib to hain lekin
main paikar-e-KHushbu hun wo gul-barg-e-haya hai
dekho to karishma hai Thikanon ka badalna
hai ruKH pe tumhaare to mere dil mein KHuda hai
zar tere liye hai na ki tu zar ke liye hai
ye zar ki ghulami hawas-e-zar ki saza hai
gardish ne zamane ki juda kar diya mujh ko
us khet se jis se ye mera jism uga hai
jo ashk ki girta tha meri man ki lahad par
wo ashk meri aankh mein barson se ruka hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.