har chiz mein dilkashi milegi
har chiiz meñ dilkashī milegī
zarroñ se bhī raushnī milegī
har gaam pe rāhbar mileñge
har gaam pe rahzanī milegī
kahtā thā ye koī dil-jalā kal
miT jā ki ḳhud-āgahī milegī
jab mujh ko atā huā koī ġham
samjhā ki na.ī ḳhushī milegī
dil raakh to ho gayā hai lekin
chingārī koī dabī milegī
kis tarah mujhe bhulāoge tum
har shai meñ mirī kamī milegī
dil ḳhuun hai ġham se phir bhī 'shāriq'
hoñToñ pe mire hañsī milegī
har chiz mein dilkashi milegi
zarron se bhi raushni milegi
har gam pe rahbar milenge
har gam pe rahzani milegi
kahta tha ye koi dil-jala kal
miT ja ki KHud-agahi milegi
jab mujh ko ata hua koi gham
samjha ki nai KHushi milegi
dil rakh to ho gaya hai lekin
chingari koi dabi milegi
kis tarah mujhe bhulaoge tum
har shai mein meri kami milegi
dil KHun hai gham se phir bhi 'shaariq'
honTon pe mere hansi milegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.