har choT pe puchhe hai bata yaad rahegi
har choT pe pūchhe hai batā yaad rahegī
ham ko ye zamāne kī adā yaad rahegī
din raat ke aañsū sahar o shaam kī aaheñ
is baaġh kī ye āb-o-havā yaad rahegī
kis dhuum se baḌhtī huī pahuñchī hai kahāñ tak
duniyā ko tirī zulf-e-rasā yaad rahegī
karte raheñge tum se mohabbat bhī vafā bhī
go tum ko mohabbat na vafā yaad rahegī
kis baat kā tū qaul-o-qasam le hai barahman
har baat butoñ kī ba-ḳhudā yaad rahegī
chalte ga.e ham phuul banāte ga.e chhāle
sahrā ko mirī laġhzish-e-pā yaad rahegī
jis bazm meñ tum jāoge us bazm ko 'ājiz'
ye guftugū-e-be-sar-o-pā yaad rahegī
har choT pe puchhe hai bata yaad rahegi
hum ko ye zamane ki ada yaad rahegi
din raat ke aansu sahar o sham ki aahen
is bagh ki ye aab-o-hawa yaad rahegi
kis dhum se baDhti hui pahunchi hai kahan tak
duniya ko teri zulf-e-rasa yaad rahegi
karte rahenge tum se mohabbat bhi wafa bhi
go tum ko mohabbat na wafa yaad rahegi
kis baat ka tu qaul-o-qasam le hai barahman
har baat buton ki ba-KHuda yaad rahegi
chalte gae hum phul banate gae chhaale
sahra ko meri laghzish-e-pa yaad rahegi
jis bazm mein tum jaoge us bazm ko 'ajiz'
ye guftugu-e-be-sar-o-pa yaad rahegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.