har dam aate hain bhare dida-e-giryan tujh bin
har dam aate hain bhare dida-e-giryan tujh bin
Mushafi Ghulam Hamdani
MORE BYMushafi Ghulam Hamdani
har dam aate haiñ bhare dīda-e-giryāñ tujh bin
mujh ko ye Dar hai ki laa.eñ na ye tūfāñ tujh bin
lāla-o-gul kī taraf kis kī balā dekhe hai
jī ko bhātī hī nahīñ sair-e-gulistāñ tujh bin
aa gayā bas-ki ḳhalal maz.hab-o-millat meñ mirī
na rahā gabr meñ pyāre na musalmāñ tujh bin
dil gayā diin gayā sabr gayā taab ga.ī
yuuñ hī apne to hue saikḌoñ nuqsāñ tujh bin
na khile ġhuncha-e-tasvīr ke mānind kabhū
lab-e-ḳhāmosh mire ai gul-e-ḳhandāñ tujh bin
jab se ai gul tū gayā bistar-e-āshiq pe tire
gul-e-bālīñ na hue sumbul-o-raihāñ tujh bin
sāmne se mirī āñkhoñ ke na jā maan kahā
kis ko dekhūñgā maiñ phir ai mah-e-tābāñ tujh bin
roz dushman kā bhī is tarah na kaTiyo yā-rab
maiñ ne jis zulm se kaaTī shab-e-hijrāñ tujh bin
mah-e-nau shaam ke hote hī tasavvur meñ tire
thā khaḌā sar pe liye ḳhanjar-e-uryāñ tujh bin
aur jo jaatī thī kabhī ḳhosha-e-parvīñ pe nigāh
vo bhī lagtā thā sanam dasta-e-paikāñ tujh bin
'mus.hafī' jā ke gulistāñ meñ kare kyā pyāre
ki gulistāñ hai use ḳhāna-e-zindāñ tujh bin
har dam aate hain bhare dida-e-giryan tujh bin
mujh ko ye Dar hai ki laen na ye tufan tujh bin
lala-o-gul ki taraf kis ki bala dekhe hai
ji ko bhati hi nahin sair-e-gulistan tujh bin
aa gaya bas-ki KHalal mazhab-o-millat mein meri
na raha gabr mein pyare na musalman tujh bin
dil gaya din gaya sabr gaya tab gai
yun hi apne to hue saikDon nuqsan tujh bin
na khile ghuncha-e-taswir ke manind kabhu
lab-e-KHamosh mere ai gul-e-KHandan tujh bin
jab se ai gul tu gaya bistar-e-ashiq pe tere
gul-e-baalin na hue sumbul-o-raihan tujh bin
samne se meri aankhon ke na ja man kaha
kis ko dekhunga main phir ai mah-e-taban tujh bin
roz dushman ka bhi is tarah na kaTiyo ya-rab
main ne jis zulm se kaTi shab-e-hijran tujh bin
mah-e-nau sham ke hote hi tasawwur mein tere
tha khaDa sar pe liye KHanjar-e-uryan tujh bin
aur jo jati thi kabhi KHosha-e-parwin pe nigah
wo bhi lagta tha sanam dasta-e-paikan tujh bin
'mushafi' ja ke gulistan mein kare kya pyare
ki gulistan hai use KHana-e-zindan tujh bin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.