har dam ki kashmakash se nikal rasta badal
har dam kī kashmakash se nikal rāsta badal
ab aur un ke saath na chal rāsta badal
ye ḳhalfishār-e-zehn ye ḳhadshe ye hujjateñ
in sab kā bas hai ek hī hal rāsta badal
naḳhvat-parast logoñ ko chhoḌ un ke haal par
vaqt un ke ḳhud nikālegā bal rāsta badal
sochoñ meñ jin kī taaza havā kā guzar nahīñ
kar deñge terā zehn bhī shal rāsta badal
ye terī zindagī hai guzār apne Dhañg se
sāñche meñ dūsroñ ke na Dhal rāsta badal
tū jin kā ham-qadam hai ye be-mehr log haiñ
hoñge tire ye aaj na kal rāsta badal
nuqsān degī tujh ko bahut gū-magū 'na.īm'
tāḳhīr kar na ek bhī pal rāsta badal
har dam ki kashmakash se nikal rasta badal
ab aur un ke sath na chal rasta badal
ye KHalfishaar-e-zehn ye KHadshe ye hujjaten
in sab ka bas hai ek hi hal rasta badal
naKHwat-parast logon ko chhoD un ke haal par
waqt un ke KHud nikalega bal rasta badal
sochon mein jin ki taza hawa ka guzar nahin
kar denge tera zehn bhi shal rasta badal
ye teri zindagi hai guzar apne Dhang se
sanche mein dusron ke na Dhal rasta badal
tu jin ka ham-qadam hai ye be-mehr log hain
honge tere ye aaj na kal rasta badal
nuqsan degi tujh ko bahut gu-magu 'naim'
taKHir kar na ek bhi pal rasta badal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.