har dam ruThe rahte ho
har dam rūThe rahte ho
tum bhī qismat jaise ho
hañs kar bolī zinda huuñ
jab jab pūchhā kaise ho
tum ne mujh ko yaad kiyā
sach-much kitne jhūTe ho
donoñ kā dil TuuT gayā
ab kyoñ jhagḌā karte ho
kyā vo mujh se achchhī hai
jis kī ḳhātir badle ho
maiñ bhī ḳhush huuñ tum bhī ḳhush
maiñ jhūTī tum jhūTe ho
jaisā duniyā kahtī hai
achchhā to tum vaise ho
har dam ruThe rahte ho
tum bhi qismat jaise ho
hans kar boli zinda hun
jab jab puchha kaise ho
tum ne mujh ko yaad kiya
sach-much kitne jhuTe ho
donon ka dil TuT gaya
ab kyon jhagDa karte ho
kya wo mujh se achchhi hai
jis ki KHatir badle ho
main bhi KHush hun tum bhi KHush
main jhuTi tum jhuTe ho
jaisa duniya kahti hai
achchha to tum waise ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.