har dar-o-diwar pe larzan koi paikar lage
har dar-o-dīvār pe larzāñ koī paikar lage
kitnī shakloñ kā parī-ḳhāna hamārā ghar lage
dauḌtī jaa.eñ ragoñ meñ nīl-gūñ ḳhāmoshiyāñ
duur tak phailā huā yuuñ dhund kā manzar lage
band kamre meñ balā-e-jāñ hai ehsās-e-sukūt
aur bāhar har taraf āvāz kā patthar lage
jaise jaise TūTtā jaa.e nigāhoñ kā bharam
shaḳhsiyat apnī bhī apne-āp ko kam-tar lage
kaañp jaatā hai sadā-e-dil se sahrā-e-sukūt
aur apne paañv kī aahaT se bhī ab Dar lage
ek be-ma.anī tajassus ek be-ma.anī ḳhalish
ek sho.ala sā lapaktā jism meñ aksar lage
har dar-o-diwar pe larzan koi paikar lage
kitni shaklon ka pari-KHana hamara ghar lage
dauDti jaen ragon mein nil-gun KHamoshiyan
dur tak phaila hua yun dhund ka manzar lage
band kamre mein bala-e-jaan hai ehsas-e-sukut
aur bahar har taraf aawaz ka patthar lage
jaise jaise TuTta jae nigahon ka bharam
shaKHsiyat apni bhi apne-ap ko kam-tar lage
kanp jata hai sada-e-dil se sahra-e-sukut
aur apne panw ki aahaT se bhi ab Dar lage
ek be-mani tajassus ek be-mani KHalish
ek shoala sa lapakta jism mein aksar lage
- Book : Aazadi ke baad dehli men urdu gazal (Pg. 202)
- Author : Professor Unwan Chishti
- Publication : Asila Offset Printers, Kalan Mahal, Dariyaganj, New Delhi-6 (1989)
- Edition : 1989
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.