har dard se bandhe hue rishta koi guzre
har dard se bāñdhe hue rishta koī guzre
qātil koī guzre na masīhā koī guzre
ā.īna ba-har-rāh-guzar ban ga.iiñ āñkheñ
ik umr se baiThe haiñ ki tum sā koī guzre
vo tishnagī-e-jāñ hai ki sahrā ko taras aa.e
ab hoñToñ ko chhūtā huā dariyā koī guzre
un se bhī ilāj-e-ġham pinhāñ nahīñ hogā
kah deñ jo agar un kā shanāsā koī guzre
har dard se bandhe hue rishta koi guzre
qatil koi guzre na masiha koi guzre
aaina ba-har-rah-guzar ban gain aankhen
ek umr se baiThe hain ki tum sa koi guzre
wo tishnagi-e-jaan hai ki sahra ko taras aae
ab honTon ko chhuta hua dariya koi guzre
un se bhi ilaj-e-gham pinhan nahin hoga
kah den jo agar un ka shanasa koi guzre
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.