har daricha dhuan ugalta hai
har darīcha dhuāñ ugaltā hai
band kamre meñ kaun jaltā hai
chiyuñTiyoñ ke bhī par nikal aa.e
kaun paidal zamīñ pe chaltā hai
āsmāñ chhū nahīñ sakegā kabhī
roz diyā magar uchhaltā hai
reñgtī hai tumhārī munnī ḳhuub
merā munnā bhī paañv chaltā hai
biit jaatī hai har ghaḌī 'momin'
vaqt Taale baġhair Taltā hai
har daricha dhuan ugalta hai
band kamre mein kaun jalta hai
chiyunTiyon ke bhi par nikal aae
kaun paidal zamin pe chalta hai
aasman chhu nahin sakega kabhi
roz diya magar uchhalta hai
rengti hai tumhaari munni KHub
mera munna bhi panw chalta hai
bit jati hai har ghaDi 'momin'
waqt Tale baghair Talta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.