har daur-e-taghayyur ki zaban hota rahega
har daur-e-taġhayyur kī zabāñ hotā rahegā
har tarz-e-bayāñ nazr-e-ḳhizāñ hotā rahegā
tā-hashr do ḳheme yahāñ ābād raheñge
aur saath ujāle ke dhuāñ hotā rahegā
hal-min kī sadā kānoñ se Takrātī rahegī
mahfil meñ bhī maqtal kā gumāñ hotā rahegā
ik yaad sar-e-shām safar kartī rahegī
aur qarya-e-jāñ kū-e-butāñ hotā rahegā
āñkhoñ se furāt-e-ġham-e-dil bahtī rahegī
nā-gufta hai jo kuchh vo bayāñ hotā rahegā
chhū chhū ke badan terā havā aatī rahegī
majzūb tirā raqs-kunāñ hotā rahegā
in taaza charāġhoñ meñ tasādum na rukegā
aur mere ujāloñ kā ziyāñ hotā rahegā
sūraj kī shuā.eñ pas-e-shab Dhaltī raheñgī
jo jo hai nihāñ vo vo ayaañ hotā rahegā
ye baat musallam hai 'safar' gardan-e-haq par
ik ḳhanjar-e-bedād ravāñ hotā rahegā
har daur-e-taghayyur ki zaban hota rahega
har tarz-e-bayan nazr-e-KHizan hota rahega
ta-hashr do KHeme yahan aabaad rahenge
aur sath ujale ke dhuan hota rahega
hal-min ki sada kanon se Takraati rahegi
mahfil mein bhi maqtal ka guman hota rahega
ek yaad sar-e-sham safar karti rahegi
aur qarya-e-jaan ku-e-butan hota rahega
aankhon se furaat-e-gham-e-dil bahti rahegi
na-gufta hai jo kuchh wo bayan hota rahega
chhu chhu ke badan tera hawa aati rahegi
majzub tera raqs-kunan hota rahega
in taza charaghon mein tasadum na rukega
aur mere ujalon ka ziyan hota rahega
suraj ki shuaen pas-e-shab Dhalti rahengi
jo jo hai nihan wo wo ayan hota rahega
ye baat musallam hai 'safar' gardan-e-haq par
ek KHanjar-e-bedad rawan hota rahega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.