har dil ke muqaddar mein mohabbat nahin hoti
har dil ke muqaddar meñ mohabbat nahīñ hotī
har shaḳhs ke hisse meñ ye ne'mat nahīñ hotī
mil jaa.e mohabbat kā jab ai dost sahārā
phir aur sahāre kī zarūrat nahīñ hotī
us din mujhe lagtā hai koī paap huā hai
jis din tire kūche kī ziyārat nahīñ hotī
karte haiñ gila tum se tumheñ apnā samajh ke
ġhairoñ se to ai dost shikāyat nahīñ hotī
jalnā hai patange to tū jal soz-e-jigar se
'āshiq ko to ātish kī zarūrat nahīñ hotī
kis darja hai masrūf na.e daur kā insāñ
ḳhud se bhī ise milne kī fursat nahīñ hotī
bin tere karūñ ziist meñ tauba mirī tauba
mujh se to mirī jaan ye jur.at nahīñ hotī
kuchh kaam nahīñ aatī hai mehnat bhī bashar kī
jab tak mire maulā tirī rahmat nahīñ hotī
mehnat se kamā ke tū 'sadā' apnī guzar kar
jo muft mile us meñ to barakat nahīñ hotī
har dil ke muqaddar mein mohabbat nahin hoti
har shaKHs ke hisse mein ye ne'mat nahin hoti
mil jae mohabbat ka jab ai dost sahaara
phir aur sahaare ki zarurat nahin hoti
us din mujhe lagta hai koi pap hua hai
jis din tere kuche ki ziyarat nahin hoti
karte hain gila tum se tumhein apna samajh ke
ghairon se to ai dost shikayat nahin hoti
jalna hai patange to tu jal soz-e-jigar se
'ashiq ko to aatish ki zarurat nahin hoti
kis darja hai masruf nae daur ka insan
KHud se bhi ise milne ki fursat nahin hoti
bin tere karun zist mein tauba meri tauba
mujh se to meri jaan ye jurat nahin hoti
kuchh kaam nahin aati hai mehnat bhi bashar ki
jab tak mere maula teri rahmat nahin hoti
mehnat se kama ke tu 'sada' apni guzar kar
jo muft mile us mein to barakat nahin hoti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.