har dil kisi ki chah mein dard-ashna mila
har dil kisī kī chaah meñ dard-āshnā milā
har dil meñ ik charāġh-e-tamannā jalā milā
rāheñ milīñ nuqūsh mile rahnumā milā
manzil na mil sakī to musāfir ko kyā milā
kyoñ baḳht-e-nā-rasā kī shikāyat kareñ 'abas
ham ko bhī jo hamāre muqaddar meñ thā milā
zahr-e-ġham-e-hayāt gavārā thā kab magar
ye silsila bhī terī tamanna se jā milā
baaqī rahī kashākash-e-girdāb-o-bahr-e-ġham
kashtī ko nāḳhudā kā sahārā burā milā
apne se log ham ko zamīñ par na mil sake
koī ḳhudā milā to koī nāḳhudā milā
'afzal' dayār-e-ġhair meñ bhaTke tamām raat
koī diyā jalā na koī dar khulā milā
har dil kisi ki chah mein dard-ashna mila
har dil mein ek charagh-e-tamanna jala mila
rahen milin nuqush mile rahnuma mila
manzil na mil saki to musafir ko kya mila
kyon baKHt-e-na-rasa ki shikayat karen 'abas
hum ko bhi jo hamare muqaddar mein tha mila
zahr-e-gham-e-hayat gawara tha kab magar
ye silsila bhi teri tamanna se ja mila
baqi rahi kashakash-e-girdab-o-bahr-e-gham
kashti ko naKHuda ka sahaara bura mila
apne se log hum ko zamin par na mil sake
koi KHuda mila to koi naKHuda mila
'afzal' dayar-e-ghair mein bhaTke tamam raat
koi diya jala na koi dar khula mila
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.