har dil mein bebasi ki chubhan chhoD jaunga
har dil meñ bebasī kī chubhan chhoḌ jā.ūñgā
jab bhī tujhe ai arz-e-vatan chhoḌ jā.ūñgā
hāsil tamām 'umr kā dhan chhoḌ jā.ūñgā
yā'nī zabān-e-gang-o-jaman chhoḌ jā.ūñgā
maġhmūm kis liye hai arī sar-phirī ḳhizāñ
maiñ tere naam apnā chaman chhoḌ jā.ūñgā
kāñTe kareñge yaad mirī chāk-dāmanī
phūloñ ko mahv-e-ranj-o-mehan chhoḌ jā.ūñgā
har ik ḳhushī karegī mujhe dar-ba-dar talāsh
har ik jabīn-e-ġham pe shikan chhoḌ jā.ūñgā
jī jī ke sab hī marte haiñ lekin maiñ ai 'amīn'
mar mar ke zinda rahne kā fan chhoḌ jā.ūñgā
har dil mein bebasi ki chubhan chhoD jaunga
jab bhi tujhe ai arz-e-watan chhoD jaunga
hasil tamam 'umr ka dhan chhoD jaunga
ya'ni zaban-e-gang-o-jaman chhoD jaunga
maghmum kis liye hai ari sar-phiri KHizan
main tere nam apna chaman chhoD jaunga
kanTe karenge yaad meri chaak-damani
phulon ko mahw-e-ranj-o-mehan chhoD jaunga
har ek KHushi karegi mujhe dar-ba-dar talash
har ek jabin-e-gham pe shikan chhoD jaunga
ji ji ke sab hi marte hain lekin main ai 'amin'
mar mar ke zinda rahne ka fan chhoD jaunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.