har dil mein tera sauda har aankh tamannai
har dil meñ tirā saudā har aañkh tamannā.ī
ai zīnat-e-har-mahfil hañgāma-e-tanhā.ī
kā'be meñ jise DhūñDhā but-ḳhāne meñ DhūñDhā thā
mai-ḳhāne aa kar vo tasvīr nazar aa.ī
shoḳhī hai hayā parvar duzdīda nigāheñ haiñ
samjhe na koī us ko andāz-e-shanāsā.ī
ġhunchoñ meñ tabassum thā kaliyāñ bhī chaTak uTThīñ
jab aa.e vo gulshan meñ lete hue añgḌā.ī
maġhrūr na ho kyuuñ kar vo sar har ik ḳhud sar se
hāsil hai tere dar kī jab us ko jabīñ-sā.ī
dhokā tirī aamad kā dhaḌkan pe har ik dil kī
kyā tum ko sunā.ūñ meñ hāl-e-shab-e-tanhā.ī
har dil mein tera sauda har aankh tamannai
ai zinat-e-har-mahfil hangama-e-tanhai
ka'be mein jise DhunDha but-KHane mein DhunDha tha
mai-KHane aa kar wo taswir nazar aai
shoKHi hai haya parwar duzdida nigahen hain
samjhe na koi us ko andaz-e-shanasai
ghunchon mein tabassum tha kaliyan bhi chaTak uTThin
jab aae wo gulshan mein lete hue angDai
maghrur na ho kyun kar wo sar har ek KHud sar se
hasil hai tere dar ki jab us ko jabin-sai
dhoka teri aamad ka dhaDkan pe har ek dil ki
kya tum ko sunaun mein haal-e-shab-e-tanhai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.