har dua be-asar ho gai
har duā be-asar ho ga.ī
zindagī muḳhtasar ho ga.ī
dil kā armāñ na niklā koī
har ḳhushī dard-e-sar ho ga.ī
yaad ko dekhe arsa huā
dostī dar-ba-dar ho ga.ī
justujū meñ tirī jān-e-man
baiThe baiThe sahar ho ga.ī
yaad 'ramman' kī dil meñ rahī
zindagī yuuñ basar ho ga.ī
har dua be-asar ho gai
zindagi muKHtasar ho gai
dil ka arman na nikla koi
har KHushi dard-e-sar ho gai
yaad ko dekhe arsa hua
dosti dar-ba-dar ho gai
justuju mein teri jaan-e-man
baiThe baiThe sahar ho gai
yaad 'ramman' ki dil mein rahi
zindagi yun basar ho gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.