har dua gar qubul ho jae
har duā gar qubūl ho jaa.e
zindagī hī fuzūl ho jaa.e
ye duā hai ki apnī hastī bhī
un ke qadmoñ kī dhuul ho jaa.e
rashk aatā hai us kī qismat pe
jis kī tauba qubūl ho jaa.e
bhuul jā.ūñ ise meñ pal-bhar ko
kaash mujh se ye bhuul ho jaa.e
kis tarah tum chaloge ai 'armān'
gar ye duniyā babūl ho jaa.e
har dua gar qubul ho jae
zindagi hi fuzul ho jae
ye dua hai ki apni hasti bhi
un ke qadmon ki dhul ho jae
rashk aata hai us ki qismat pe
jis ki tauba qubul ho jae
bhul jaun ise mein pal-bhar ko
kash mujh se ye bhul ho jae
kis tarah tum chaloge ai 'arman'
gar ye duniya babul ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.