har dukh ko main jheli hun
har dukh ko maiñ jhelī huuñ
dard-bisāt pe khelī huuñ
ḳhud se hī dil kī baat karūñ
apnī aap sahelī huuñ
kyā koī mujh ko jānegā
aisī ek pahelī huuñ
tere jahāñ ko mahkā.ūñ
champā aur chamelī huuñ
apne hisār meñ lā.ūñ tujhe
dast-e-duā kī hathelī huuñ
mujh meñ bastā nahīñ koī
pur-asrār havelī huuñ
karūñ jo tere bas meñ nahīñ
vo sarmast albelī huuñ
is pur-shor zamāne meñ
'ḳhānam' kitnī akelī huuñ
har dukh ko main jheli hun
dard-bisat pe kheli hun
KHud se hi dil ki baat karun
apni aap saheli hun
kya koi mujh ko jaanega
aisi ek paheli hun
tere jahan ko mahkaun
champa aur chameli hun
apne hisar mein laun tujhe
dast-e-dua ki hatheli hun
mujh mein basta nahin koi
pur-asrar haweli hun
karun jo tere bas mein nahin
wo sarmast albeli hun
is pur-shor zamane mein
'KHanam' kitni akeli hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.