har ek aan wo humse juda sa kuchh to hai
har ek aan vo ham se judā sā kuchh to hai
hamārī zaat ke andar ḳhudā sā kuchh to hai
vo kyā hai kuchh bhī nahīñ ik zarā sā kuchh to hai
kabhī duā to kabhī badduā sā kuchh to hai
lahū hai barf hai raqs-e-sharar hai kyā hai ye
ye jism-o-jāñ meñ pighaltā huā sā kuchh to hai
samajh sakā na koī ab talak ki vo kyā hai
vo ā.īna na sahī ā.īna sā kuchh to hai
tamām rañg vo mausam uḌā gayā lekin
kahīñ to shāḳh pe ab tak harā sā kuchh to hai
har ek aan wo hum se juda sa kuchh to hai
hamari zat ke andar KHuda sa kuchh to hai
wo kya hai kuchh bhi nahin ek zara sa kuchh to hai
kabhi dua to kabhi baddua sa kuchh to hai
lahu hai barf hai raqs-e-sharar hai kya hai ye
ye jism-o-jaan mein pighalta hua sa kuchh to hai
samajh saka na koi ab talak ki wo kya hai
wo aaina na sahi aaina sa kuchh to hai
tamam rang wo mausam uDa gaya lekin
kahin to shaKH pe ab tak hara sa kuchh to hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.