har ek aankh ko zauq-e-jamal de ya-rab
har ek aañkh ko zauq-e-jamāl de yā-rab
diloñ ko ishq-o-vafā kā jalāl de yā-rab
hai mere zehn-e-rasā meñ jo ik tasavvur-e-haq
mirā qalam usī sāñche meñ Dhaal de yā-rab
zabāñ se baat jo nikle hamesha haq nikle
lisān-e-sidq ko husn-e-maqāl de yā-rab
is ahd-e-zor meñ is kā sañbhalnā mushkil hai
tū hī sharīfoñ kī pagḌī sañbhāl de yā-rab
khaTak rahā hai diloñ meñ mire harīfoñ ke
bahut dinoñ se jo kāñTā nikāl de yā-rab
nafas meñ garmī-e-īmān-e-būzar-o-salmāñ
diloñ meñ soz-e-uvais-o-bilāl de yā-rab
jo ḳhvāhishoñ meñ ghirā ho vo tujh se kyā māñge
tujhe jo denā hai vo be-savāl de yā-rab
har ek aankh ko zauq-e-jamal de ya-rab
dilon ko ishq-o-wafa ka jalal de ya-rab
hai mere zehn-e-rasa mein jo ek tasawwur-e-haq
mera qalam usi sanche mein Dhaal de ya-rab
zaban se baat jo nikle hamesha haq nikle
lisan-e-sidq ko husn-e-maqal de ya-rab
is ahd-e-zor mein is ka sanbhalna mushkil hai
tu hi sharifon ki pagDi sanbhaal de ya-rab
khaTak raha hai dilon mein mere harifon ke
bahut dinon se jo kanTa nikal de ya-rab
nafas mein garmi-e-iman-e-buzar-o-salman
dilon mein soz-e-uwais-o-bilal de ya-rab
jo KHwahishon mein ghira ho wo tujh se kya mange
tujhe jo dena hai wo be-sawal de ya-rab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.