har ek baat pe kahte ho marhaba na kaho
har ek baat pe kahte ho marhaba na kaho
Iftikhar Ahmad Alvi Kakori
MORE BYIftikhar Ahmad Alvi Kakori
har ek baat pe kahte ho marhabā na kaho
kaho to phir ġham-e-dil kā ye mājrā na kaho
majāz husn-e-haqīqat hai barmalā na kaho
magar ye raaz sadāqat se māvarā na kaho
hasīn shakl ke insāñ ko rahnumā na kaho
vo nā-ḳhudā-e-sitam hai use ḳhudā na kaho
suḳhan-shanās jo tum ho to barmalā na kaho
ġhazal ke sher ko iz.hār-e-mudda’ā na kaho
misāl-e-tūr abhī ḳhvāb hoñge chaknā-chūr
dil-o-nigāh meñ kyā kuchh hai fāsla na kaho
sarāb kī sī haqīqat hai us meñ poshīda
chamakne vaalī har ik shai ko aa.ina na kaho
baġhair lutf kahāñ ġham kī yūrisheñ paiham
'atā-e-dost kaho is ko tum jafā na kaho
vo āgahī kī manāzil unheñ nasīb kahāñ
janāb-e-shaiḳh ko rindo magar burā na kaho
sukūñ-navāz talattuf 'ilāj hai is kā
junūn-e-ishq ko ik marz-e-lā-davā na kaho
sharīk-e-hāl yahāñ kaun kis kā hotā hai
musībatoñ kā har ik se ye vāqi.a na kaho
ba-chashm-e-ḳhās vo maa.il idhar to haiñ lekin
ye ibtidā.ī marāhil haiñ intihā na kaho
ba-hosh-bāsh ki hai pās-e-ehtiyāt yahī
ġhamoñ pe aah masarrat pe vāh-vā na kaho
ye muskurāhaTeñ 'alavī' kī tanziya haiñ nadīm
tabāhiyoñ kā huā ḳhatm silsila na kaho
har ek baat pe kahte ho marhaba na kaho
kaho to phir gham-e-dil ka ye majra na kaho
majaz husn-e-haqiqat hai barmala na kaho
magar ye raaz sadaqat se mawara na kaho
hasin shakl ke insan ko rahnuma na kaho
wo na-KHuda-e-sitam hai use KHuda na kaho
suKHan-shanas jo tum ho to barmala na kaho
ghazal ke sher ko izhaar-e-mudda’a na kaho
misal-e-tur abhi KHwab honge chakna-chur
dil-o-nigah mein kya kuchh hai fasla na kaho
sarab ki si haqiqat hai us mein poshida
chamakne wali har ek shai ko aaina na kaho
baghair lutf kahan gham ki yurishen paiham
'ata-e-dost kaho is ko tum jafa na kaho
wo aagahi ki manazil unhen nasib kahan
janab-e-shaiKH ko rindo magar bura na kaho
sukun-nawaz talattuf 'ilaj hai is ka
junun-e-ishq ko ek marz-e-la-dawa na kaho
sharik-e-haal yahan kaun kis ka hota hai
musibaton ka har ek se ye waqia na kaho
ba-chashm-e-KHas wo mail idhar to hain lekin
ye ibtidai marahil hain intiha na kaho
ba-hosh-bash ki hai pas-e-ehtiyat yahi
ghamon pe aah masarrat pe wah-wa na kaho
ye muskurahaTen 'alawi' ki tanziya hain nadim
tabahiyon ka hua KHatm silsila na kaho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.