har ek barg-e-chaman mushk-bar aaega
har ek barg-e-chaman mushk-bār aa.egā
ḳhizāñ ke ba.ad gul-e-nau-bahār aa.egā
bulandiyāñ to mashaqqat se haath aatī haiñ
guloñ ke saath yaqīnī hai ḳhaar aa.egā
mujhe yaqīñ hai kisī din to ai jafā-pesha
tujhe bhī merī vafāoñ pe pyaar aa.egā
hamārā ishq karāmat se kam nahīñ jānāñ
tumhāre husn pe is se nikhār aa.egā
agar maiñ tum se tumhārī tarah karūñ va.ade
tumhī batāo tumheñ e.atibār aa.egā
jahāñ pe ahl-e-junūñ tum ko raqs karte mileñ
usī navāh meñ merā dayār aa.egā
jahāñ vatan ke shahīdoñ kā tazkira hogā
hamārā naam vahāñ baar baar aa.egā
tamām raat dar-e-mai-kadā khulā rakhnā
sunā hai koī tahajjud-guzār aa.egā
har ek barg-e-chaman mushk-bar aaega
KHizan ke baad gul-e-nau-bahaar aaega
bulandiyan to mashaqqat se hath aati hain
gulon ke sath yaqini hai KHar aaega
mujhe yaqin hai kisi din to ai jafa-pesha
tujhe bhi meri wafaon pe pyar aaega
hamara ishq karamat se kam nahin jaanan
tumhaare husn pe is se nikhaar aaega
agar main tum se tumhaari tarah karun wade
tumhi batao tumhein eatibar aaega
jahan pe ahl-e-junun tum ko raqs karte milen
usi nawah mein mera dayar aaega
jahan watan ke shahidon ka tazkira hoga
hamara nam wahan bar bar aaega
tamam raat dar-e-mai-kada khula rakhna
suna hai koi tahajjud-guzar aaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.