har ek chehra abhi aashna naya naya hai
har ek chehra abhī āshnā nayā nayā hai
ki shak to lāzmī hai aa.ina nayā nayā hai
tirī razā ke mutābiq hī faisle hoñge
tū sabr kar ki abhī rābta nayā nayā hai
vo ba.ad tark-e-ta.alluq kare hai yaad mujhe
use salīqa nahīñ bevafā nayā nayā hai
vahī masarrat-e-vasl aur vahī azāb-e-firāq
juz ek naam mohabbat meñ kyā nayā nayā hai
paḌī haiñ mez pe bikhrī kisī kī tasvīreñ
nigāh rakhiye ki ghar meñ diyā nayā nayā hai
ab us kā naam chalo e'tibār hī rakh leñ
zabān-e-vasl pe ik aabla nayā nayā hai
jo dā.imī hai zamīn-o-falak ke beach 'āfāq'
hamāre darmiyāñ vo fāsla nayā nayā hai
har ek chehra abhi aashna naya naya hai
ki shak to lazmi hai aaina naya naya hai
teri raza ke mutabiq hi faisle honge
tu sabr kar ki abhi rabta naya naya hai
wo baad tark-e-talluq kare hai yaad mujhe
use saliqa nahin bewafa naya naya hai
wahi masarrat-e-wasl aur wahi azab-e-firaq
juz ek nam mohabbat mein kya naya naya hai
paDi hain mez pe bikhri kisi ki taswiren
nigah rakhiye ki ghar mein diya naya naya hai
ab us ka nam chalo e'tibar hi rakh len
zaban-e-wasl pe ek aabla naya naya hai
jo daimi hai zamin-o-falak ke beach 'afaq'
hamare darmiyan wo fasla naya naya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.