Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har ek Dubta manzar dikhai deta hai

Sunil Aftab

har ek Dubta manzar dikhai deta hai

Sunil Aftab

MORE BYSunil Aftab

    har ek Dūbtā manzar dikhā.ī detā hai

    hamāre ghar se samundar dikhā.ī detā hai

    maiñ jis ke saa.e se bach kar nikalnā chāhtā huuñ

    vo mujh ko raah meñ aksar dikhā.ī detā hai

    use kabhī bhī na is baat ḳhabar ho paa.e

    vo apne aap se behtar dikhā.ī detā hai

    hamāre biich ye nazdīkiyāñ kaafī haiñ

    tumhāre ghar se mirā ghar dikhā.ī detā hai

    har ek Dubta manzar dikhai deta hai

    hamare ghar se samundar dikhai deta hai

    main jis ke sae se bach kar nikalna chahta hun

    wo mujh ko rah mein aksar dikhai deta hai

    use kabhi bhi na is baat ki KHabar ho pae

    wo apne aap se behtar dikhai deta hai

    hamare bich ye nazdikiyan hi kafi hain

    tumhaare ghar se mera ghar dikhai deta hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now