har ek goshe mein rang-e-bahaar dekha hai
har ek goshe mein rang-e-bahaar dekha hai
Mohammad Taibur Rahman Inamdar Talib
MORE BYMohammad Taibur Rahman Inamdar Talib
har ek goshe meñ rang-e-bahār dekhā hai
mirī nigāh ne jalva hazār dekhā hai
sabhī to jalva-e-jānāñ kā kar rahe the gila
nigāh-e-lutf-o-karam kis ne yaar dekhā hai
ham un kī bazm se māyūs uTh ga.e lekin
nigāh-e-husn ko ā.īna-dār dekhā hai
kalī kalī meñ gulistāñ meñ fitrat-e-gul meñ
kahāñ kahāñ na dil-e-be-qarār dekhā hai
gavāhī dete haiñ rah rah ke aaj ai 'tālib'
falak ke chāñd-sitāroñ ne pyaar dekhā hai
har ek goshe mein rang-e-bahaar dekha hai
meri nigah ne jalwa hazar dekha hai
sabhi to jalwa-e-jaanan ka kar rahe the gila
nigah-e-lutf-o-karam kis ne yar dekha hai
hum un ki bazm se mayus uTh gae lekin
nigah-e-husn ko aaina-dar dekha hai
kali kali mein gulistan mein fitrat-e-gul mein
kahan kahan na dil-e-be-qarar dekha hai
gawahi dete hain rah rah ke aaj ai 'talib'
falak ke chand-sitaron ne pyar dekha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.