har ek hath mein patthar hai kya kiya jae
har ek haath meñ patthar hai kyā kiyā jaa.e
ye aa.ine kā muqaddar hai kyā kiyā jaa.e
banā liyā hai use markaz-e-nazar maiñ ne
sarāpā husn kā paikar hai kyā kiyā jaa.e
vo chāhe jaan bhī le le mirī to hai manzūr
mirā bharosa usī par hai kyā kiyā jaa.e
agar vo chāhe bhī ik pal to jī nahīñ saktā
ajal kā vaqt muqarrar hai kyā kiyā jaa.e
chalā gayā hai vo maqtal se qatl kar ke mujhe
ye jurm bhī mire sar par hai kyā kiyā jaa.e
koī mahal meñ rahe aur kisī ko chhat na mile
ye apnā apnā muqaddar hai kyā kiyā jaa.e
jo faḳhr kartā rahā hai mire usūloñ par
vo shaḳhs mujh se bhī behtar hai kyā kiyā jaa.e
junūn mujh ko hai sāhil talak pahuñchne kā
magar ye ġham kā samundar hai kyā kiyā jaa.e
har ek hath mein patthar hai kya kiya jae
ye aaine ka muqaddar hai kya kiya jae
bana liya hai use markaz-e-nazar main ne
sarapa husn ka paikar hai kya kiya jae
wo chahe jaan bhi le le meri to hai manzur
mera bharosa usi par hai kya kiya jae
agar wo chahe bhi ek pal to ji nahin sakta
ajal ka waqt muqarrar hai kya kiya jae
chala gaya hai wo maqtal se qatl kar ke mujhe
ye jurm bhi mere sar par hai kya kiya jae
koi mahal mein rahe aur kisi ko chhat na mile
ye apna apna muqaddar hai kya kiya jae
jo faKHr karta raha hai mere usulon par
wo shaKHs mujh se bhi behtar hai kya kiya jae
junun mujh ko hai sahil talak pahunchne ka
magar ye gham ka samundar hai kya kiya jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.